Bikhare hain swarg
Charon taraf
Swarg ko pane se pahale
Pahchan uski hai jaroori
Swarg ke bhesh main chhupe hain
Charon taraf kitne bahrupie
Sheeshon ke , band kamron main
Kya kabhi jeeti hain , koi mahak
Mahak hee jab ghut jaye jahan
kaun chhoo sakta hai , bhala jindagi kee aahtein
Apne niji astitv kee khoj main
Apnatatv ke khandaron par chalte rahe
Bahut der ho jayegee, aur
Khandaron ke bhi registaan ho jayegen
Thodi bahut ,reeti khushbuon ko bhi
Vakht ke thapere ,uda kar le jayegen
Aur kasi mutthiyan bhee
Uuhin dhilee pad jayegee
Dhahata hua teela reit ka
Dabi phusphusahaton main
Kahta rah jayega
Bikhren hain swarg charon taraf
Jo mahak varshon peete(jeete) rahen hain hum
Jin garm chaadron se,muhn dhak kar sote rahe hum
Mausam kee pahli baarish kee thandi boodon se
Tapte dinon ko milti thin, jab thandken
Sookhi rait se bhi uthti thin, jab sondhin mahak
Uneedee,dupharion ko seechn detee thi kabhi
Umsi thandi hawa ke jhonken--- kabhi
Us mahak ko, jo mittee ke chulohn se
Uthti thin ---kahin--- rat-din
Apni dhundhli yadoin ke
Darakte sheesh-mahalon ke
Kisi soonen se konen main hee sahi
Puranen guldaanon ke sookhe phoolon kee tarah
Rakhe rahne dena------ unhein
Bikharen hain swarg
Charon taraf
Jab bahut se saal, jindgi ke
Band mutthi se phisal jayenge, yuon hee
Jinke girne kee aahten bhee
Sheeshon ke band kamron main dab kar rah jaayengee
Jab aaj thumhara, sunsaan rah jaayega
Tumhare apne, peechhe chhod kar-- tumhe
Apne sapnon kee chaah main
Nai raahon par rukkhsatp ho jayengen
Tab, tumharee yaadon main hee sahi
wahi puranen guldano main saje
Sookhe phool bhee kabhi
Phir se, mahakaa jaayengen tumhen
Bikhare hain swarg, chaaron taraf
Charon taraf
Swarg ko pane se pahale
Pahchan uski hai jaroori
Swarg ke bhesh main chhupe hain
Charon taraf kitne bahrupie
Sheeshon ke , band kamron main
Kya kabhi jeeti hain , koi mahak
Mahak hee jab ghut jaye jahan
kaun chhoo sakta hai , bhala jindagi kee aahtein
Apne niji astitv kee khoj main
Apnatatv ke khandaron par chalte rahe
Bahut der ho jayegee, aur
Khandaron ke bhi registaan ho jayegen
Thodi bahut ,reeti khushbuon ko bhi
Vakht ke thapere ,uda kar le jayegen
Aur kasi mutthiyan bhee
Uuhin dhilee pad jayegee
Dhahata hua teela reit ka
Dabi phusphusahaton main
Kahta rah jayega
Bikhren hain swarg charon taraf
Jo mahak varshon peete(jeete) rahen hain hum
Jin garm chaadron se,muhn dhak kar sote rahe hum
Mausam kee pahli baarish kee thandi boodon se
Tapte dinon ko milti thin, jab thandken
Sookhi rait se bhi uthti thin, jab sondhin mahak
Uneedee,dupharion ko seechn detee thi kabhi
Umsi thandi hawa ke jhonken--- kabhi
Us mahak ko, jo mittee ke chulohn se
Uthti thin ---kahin--- rat-din
Apni dhundhli yadoin ke
Darakte sheesh-mahalon ke
Kisi soonen se konen main hee sahi
Puranen guldaanon ke sookhe phoolon kee tarah
Rakhe rahne dena------ unhein
Bikharen hain swarg
Charon taraf
Jab bahut se saal, jindgi ke
Band mutthi se phisal jayenge, yuon hee
Jinke girne kee aahten bhee
Sheeshon ke band kamron main dab kar rah jaayengee
Jab aaj thumhara, sunsaan rah jaayega
Tumhare apne, peechhe chhod kar-- tumhe
Apne sapnon kee chaah main
Nai raahon par rukkhsatp ho jayengen
Tab, tumharee yaadon main hee sahi
wahi puranen guldano main saje
Sookhe phool bhee kabhi
Phir se, mahakaa jaayengen tumhen
Bikhare hain swarg, chaaron taraf